Showing posts with label Hindi Sad Ghazals. Show all posts
Showing posts with label Hindi Sad Ghazals. Show all posts

Tuesday, 1 September 2015

Heart Touching Sad Hindi Ghazals for Lovers with Alone Girl Pictures


SuNoOo0oo...

Mery Dil Ki Dehleez Py,
Kabhi Tum Aaty...

To Khud Hi Samjh Lety,
Keh Tanhaai ki Aziyat Sy...

Mujhy Moat Hi Q,
Aasaan Lagi...???




Tanhai Ki Sazaa, Mehfiloon
Main Rehny Waly Kiya Jaany..

Be-Wafai Ki Sazaa, Badal 
Jany Wala Humsafar Kia Jany...

Kitni Mushkil Sy Manzil Milti Hai ZaiD
Yeh Manzil Badalny Wala Kiya Jany...?




Har Sham Us Sy Milny Ki Aadat Si Ho Gai Hai,
Phir Rafta Rafta Us Sy Muhabbat Si Ho Gai Hai...

Shayad Yeh Judaai Ka Taaza Taaza Asar Tha,
Har Soorat Yak-bayak Teri Soorat Si Hi Gai...

Ik Naam Jhilmilany Laga Dil K Taaq Par,
Ik Yaad Jesy Ba'as-E-Rahat Si Ho Gai...

Khud Ko Sanwaar Kr Rakhny Ka Shoaq Tha,
Phir Tumsy Mujhy Ik Wehshat Si Ho Gai...

Mainy Koi Beyan-E-Safai Nahi Diya SahiR,
Bas Chup Raha, Khud Hi Wazahat Si Ho Gai...!!



Saturday, 29 August 2015

Alone Sad Ghazals with Images Free Download


Woh Piyar Ka Saboot Dikhaya Krta Tha,
Aansu Baha Kr Humein Manaya Krta Tha...

Yeh Zindagi Sirf Tum Sy Wabasta Hai,
Aksar Yeh Baat Humein Bataya Krta Tha...

Us Ki Baaton Main Kuch Aisa Asar Tha,
Main Barish K Bina Hi Bheeg Jaya Krta Tha...

Sonay Ki Fursat Hi Kisy Thi Sahir,
Woh Humein Sari Raat Jagaya Krta Tha...

Bechaini Jab Hadd Sy Barh Jaati Thi,
Woh G Bhar Kar Galy Lagaya Krta Tha...

Woh Itni Muhabat Krny Wala Badal Geya,
Jo Har Baat Par Meri Qasam Khaya Krta Tha...!!!




Log Humary Bay-Kal Naghmay, Mehfil Mehfil Gaayen Gy, 
Yaad Kary Gi Duniya Jab Humko, Hum Duniya Sy Uth Jayen Gy...!!

Shehron Shehron Dhoondy Gy Tabeer Humary Khawabon Ko,
Koocha Koocha Nadin Arman, Yaad K Deep Jalayen Gy...!!!

Koi Faqat Itna Keh Dy, Zanjeer Pary Darwazon Sy,
Tashna-E-Bakhshish Geet Humary, Har Dar par Chalayen Gy...!!!

Soch Rahi Hai Kiya Larki! Diwany Hain, Darwaza Kholein,
Uth Hi Gaye Gar Basti Sy To Phir Na Wapis Aayen Gy...!!!

Jeeny K Har Roz Log Humein Laakh Bahany Samjhaty Hain,
Aaj Humein Samjhany Waly Kal Kis Ko Samjhayen Gy...??

Dard Main Dooby Naghmy Sun Kar Mast Raho, Duniya Walo,
Jab Tak Hain Is Duniya Main Logon Ka Dil Behlayen Gy...!!!




Maseeha Ko Mareez-E-Ishq 
Kia Jaany, Khuda Jaany,


Duaa Jaany, Davaa Jaany
Shifaa Jaany, Khuda Jany...

Nashy Ko Tu Bura Jany
Bhala Jaanay, Khuda Jany,


Mera To Kaam Hai Peena 
Nashaa Jaany, Khuda Jaany...

Na Main Chahun Bhi To Q'kar 
Yeh Aa Jaati Hai Honton Tak,


Yeh Allah Jany, Nizaam-E-May-Kadaa
Jaanay, Khudaa Jaanay...!!!




Kabhi Is Nagar Tujhy Dhoondna, Kabhi Us Nagar Tujhy Dhoondna,
Kabhi Raat Bhar Tujhy Sochna, Kabhi Raat Bhar Tujhy Dhoondna.

Mujhy Ja-baja Teri Justju, Tujhy Dhoondta Hun Main Ku-ba-ku,
Kahan Khul Saka Tere Ru-ba-ru, Mera Is Qadar Tujhy Dhoondna.

Mera Khawab Tha Ya Khayal Tha, Woh Urooj Tha Ya Zawal Tha,
Kabhi Farsh Par Tujhe Dhoondna, Kabhi Arsh Par Tujhy Dhoondna.

Yahan Har Kisi Sy Hi Bair Hai, Tera Shehar Qariy-e-gair Hai,
Yahan Sehal Bhi To Nahi Koi, Mera Be-khabar Tujhy Dhoondna.

Teri Yaad Aai To Ro Diya, Jo Tu Mil Gaya Tujhe Kho Diya,
Mery Silsily Bhi Ajeeb Hain, Tujhe Chor Kr Tujhy Dhoondna.

Yeh Meri Nazar Ka Kamaal Hai Ya Meri Nazar Ka Jamaal Hai,
Tujhy Shair Shair Mein Sochna, Sar-e-baam-o-dar Tujhe Dhoondna .!!



Wednesday, 18 March 2015

Kiston Me Mili Hain Khushiya Mujhe Hindi Shayari Image by Anup Kumar


Kiston me mili hai khushiya mujhe
Mai kiston me khus hota raha hu
Dukh aaya hai jab bhi, dhamkakar gaya hai
Mai khus hone ka byaj dhota rha hu...

Kiston me mile har risten naten
Kiston ka pyar pata raha hu
Jo log mujhe nafrat se dekhte hai
Mai unke ghar bhi jata raha hu...

Kiston me mili hai juban mujhe
Mai tutlakar sach bolne laga hu
Wo badi badi aankhen mujhe darane ko aati hai
Mai sabki aankhon ka parda kholne laga hu..

Kiston me sikhi duniyadari maine
Mai ab pyar bholne laga hu
Apne gham hathon me liye chalta hu
Mai ab gham se gham ko tolne laga hu...

Kiston me kari hai galtiya maine
Mai kiston me paxta raha hu
Hasi aayi hai mujhe apni akalmandi pe
Mai khud ko hi bada jachta raha hu...

Aur kiston kiston me mile dost mujhe
Mai dil k bazar me jata raha hu
Kiston kiston me aayi samajh mujhko
Mai akela nahi jo dhoka kha raha hu...!!!