Showing posts with label Ahmad Nadeem Qasmi. Show all posts
Showing posts with label Ahmad Nadeem Qasmi. Show all posts

Friday, 7 February 2014

Ahmad Nadeem Qasmi Poems

















Har Musarat Say Sargaraani Hai

Har musarat se sargarani hai
Kya yehi aalim jawani hai

Aa tujhe aik raaz batlaaon
Mein bhi fani hon, Tu bhi fani hai_____!!
_____________________________

Usay Main Ne Dekha

Usay Main Ne Dekha
To Socha
K Ab Chand Ne
Apnay Soraj Se
Loo Mangna Chor Di____!!
_____________________________

Marun To Main Kisi Chehare Mein Rang Bhar Jaun

MaruN To MaiN Kisii Chehare MeiN Rang Bhar JauN
Nadeem Kaash Yahi Ek Kaam Kar JauN

Ye Dasht-E-Tark-E-Muhabbat Ye Tere Qurb Kii Pyaas
Jo IzaN Ho To Teri Yaad Se Guzar JauN

Meraa Vajud Merii Rooh Ko Pukaarataa Hai
Terii Taraf Bhii ChaluN To Thahar Thahar JauN

Tere Jamaal Kaa Paratau Hai Sab HasiinoN Par
KahaaN KahaaN Tujhe DhoondhuN Kidhar Kidhar JauN

MaiN Zindaa Thaa Ki Teraa Intazaar Khatm Na Ho
Jo Tuu Milaa Hai To Ab Sochataa HuN Mar JaauN

Ye Sochataa HuN Ki Mai.N But_parast KyuN Na Huaa
Tujhe Qariib Jo PaauN To Khud Se Dar JaauN

Kisii Chaman MeiN Bas Is Khauf Se Guzar Na Huaa
Kisii Kalii Pe Na Bhuule Se Paaon Dhar JaauN

Ye Jii MeiN Aatii Hai TaKhliiq-E-Fan Ke LamhoN MeiN
Ki Khuun Ban Ke Rag-E-Sang MeiN Utar JaauN_____!!
_____________________________

Tay Karo Ga Main Andera Ye Akela Kesey

Tay Karo Ga Main Andera Ye Akela Kese
Mere Hamrah Chalay Ga Mera Saya Kese

Meri Ankhon Ki Chaka Chund Bata Sakti Hai
Jis Ko Dekha He Na Jaye Usay Dekha Kese

Chandni Us Se Lipat Jaye Hawaine Chayrain
Koi Rah Sakta Hai Duniya Main Achota Kese

Main Us Waqat Se Darta Hun K Wo Poch Na Lay
Ye Agar Zabat Ka Ansu Hai Tu Tapka Kese

Yaad Ke Kaser Hain Umeed Ki Qandalain Hain
Main Ne Abad Kiye Dard K Sehra Kese

Is Liye Sirf Khuda Se Hai Takhatub Nera Mera
Mere Jazbaat Ko Samjhay Ga Farishta Kese

Zahan Main Nit Naye Butt Dhaal K Ye Dekhta Hun
Butt Kaday Wo Bana Leta Hai Kaba Kese

Us Ki Qudrat Ne Mera Rasta Ruka Hoga
Poch Muj Se K Qayat Barpa Hoi Kese

Gar Smander Se He Dariyaon Ka Rizq Ata Hai
Is K Senay Main Utar Jatay Hain Dariya Kese

Tot Ti Raat Ne Soraj Se Ye Sargoshi Ki
Main Na Hoti To Tera Noor Barasta Kese_____!!
_____________________________

Rayt Our Baraf Pay Naqshay Kafay Pa Mera Hai

Rayt Our Baraf Pay Naqshay Kafay Pa Mera Hai
Main Ne Her Simat Main Her Mulak Main Her Mousam Main
Justju Ki Hai K Shayed Koi Apna Mil Jaye
Koi Wo, Jis K Qareeb A K Ye Mahsoos Karun
Zinda Rahnay Ka Mujay Bhi Koi Haq Hasil Hai
Main Jo Zinda Hun To Bay Waja Nahi Zinda Hun
Ab Ye Mahsoos Hoya Hai Mujay Ik Umar K Baad
Ajnabi Jo Nazar Aya Tha Wo He Apna Hai
Na Koi Khun K Rishta Na Koi Umer Ki Qaid
Wo Jo Bay Lous Hai Pani Main Kanwal Ki Sorat
Jo Muhbat K Siwa Kuch Bhi Nahi Day Sakta
Jo Muhbat K Siwa Kuch Bhi Nahi Day Sakta_______!!
_____________________________

Kuch Nahi Mangta Shahon Se Ye Sheda Tera

Kuch Nahi Mangta Shahon Se Ye Sheda Tera
Is Ki Dolat Hai Faqat Naqshe Kafe Pa Tera

Tah Ba Tah Terigiyan Zahan Pay Jab Tot Ti Hain
Noor Ho Nata Hai Kuch Oh Rahe Weda Tera

Kuch Nahi Sojta Jab Payar Ki Shidar Se Mujay
Jhalk Uthta Hai Meri Roh Main Mena Tera

Poray Qad Se Khara Hun To Ye Tera Karam
Muj Ko Jhuknay Nahi Deta Hai Sahar Tera

Dasgeri Meri Tanhai Ki To Ne He To Ki
Main To Mar Jata Agar Sath Na Hota Tera

Log Kehtay Hain K Saya Tere Pakar Ka Na Tha
Main To Kehta Hun Jaha Bhar Pay Hai Saya Tera

To Bashat Bhi Hai Magar Fakhre Bashar Bhi To Hai
Muj Ko Yaad Hai Bus Itna Sarapa Tera

Main Tujay Alam E Ashiya Main Bhi Pa Leta Hun
Log Kehtay Hain K Hai Alam E Bala Tera

Meri Ankhon Se Jo Dhundain Tujay Her So Dekhain
Sirf Khalawt Main Jo Kertain Hain Nazara Tera

Wo Anderon Se Bhi Durana Guzar Jatay Hain
Jin K Mathay Main Chamakta Hai Sitara Tera

Nadiyan Ban K Paharo Main To Sub Gumtay Hain
Rahgazaro Main Bhi Bagta Raha Dariya Tera

Sharaq Our Gharb Main Bikhray Hoye Gulzaro Ko
Nakhatain Banta Hai Aaj Bhi Sehra Tera

Ab Bhi Zulmaat Frosho Ko Gila Hai Tuj Se
Taat Baki Thi K Soraj Nikal Aya Tera

Tuj Se Pahlay K Jo Mazi Tha Hazaro K Sahi
Ab Jo Ta Hashar K Fard Hai Wo Tanha Tera

Aik Baar Our Bhi Batha Falsteen Main Aa
Rasta Dekhti Hai Masjid E Aqsa Tera_______!!
_____________________________

Kon Kehta Hai K Mout Aye Gi To Mar Jaon Ga

Kon Kehta Hai K Mout Aye Gi To Mar Jaon Ga
Main To Dariya Hun Smandar Main Utar Jaon Ga

Tere Pahlo Se Jo Uthun Ga Tu Mushkil Ye Hai
Sirf Aik Shakhas Ko Paon Ga Jidar Jaon Ga

Ab Tere Shahar Main Aon Ga Musafir Ki Traha
Saya E Abar Ki Manid Ghuzar Jaon Ga

Tere Peman E Wafa Rah Ki Diwar Bana
Warna Socha Tha K Jab Chahun Ka Mar Jaon Ga

Chara Sazo Se Alag Hai Mera Mayar K Main
Zakham Khaon Ga To Kuch Our Sanwar Jaon Ga

Ab To Khursheed Ko Dobay Hoye Sadiyan Guzrin
Ab Isay Dhundnay Main Ta Ba Sahar Jaon Ga

Zindgi Shaman Ki Manid Jalat Hun Nadeem
Buj To Jaon Ga Mager Subhau To Ker Jaon Ga_____!!
_____________________________

Kitna Shafaf Hai Badan Tera

Kitna Shafaf Hai Badan Tera
Kal Jo To Meray Pass Se Guzri
Maine Dekha K Tere Chahray Per
Jheel K Sa Sakun Chaya Hai
Our Tere Dil Pay Jab Nazar Dhali
Main Ne Wo Hashar Sa Bapa Dekha
Jis Traha Zalzala Sa Aya Hai____!!

Read More..

Ahmad Nadeem Qasmi Poems













Rait Say But Na Bana, Ay Merey Achay Fankar

Rait se But na Bana, Ay mere achay Fankar
Aik Lamhay ko Tehar, Mein tuje Pathar La du!
Mein tere samne Ambar laga donga Lekin
Kon se Rang ka Patthar tere kaam Aiga?
Surkh Patthar, Jisay Dil Kehti hai Be-DIL Dunya
Ya wo Pathrai hui Aankh ka Neela Patthar?
Jis mein Sadiyon k Tah'haur k Paray hon Doray?
Kya Tujhe Rooh k Patthar ki Zaroorat Hogi?
Jis pe Haq Baat bhi Patthar ki Tarha Girti hai
Ik wo Pathar hai Jisay kehte hain Tehzeeb Sufaid
Is k Mar Mar mein Siyah Khoon Jhala Jata hai
Aik Insaaf ka Patthar bhi to hota hai Magar
Hath me Tesha-e-Zar ho to wo Hath ata Hai
Jitne Mayyar hain is Dawr k sab Patthar Hain
Jitne Afkaar hain is Dawr k sab Patthar Hain
Shair bhi Raqs bhi, Tasveer-o-Ghina bhi Pathar
Mera Ilhaam, Tera Zehan Rasa bhi Patthar
Hath Patthar hain Tere, Meri Zubaan Patthar Hai
Rait se But na bana, Ay mere Achay Fankaar________!!
_____________________________

Andaz Ho Baho Teri Awaz Pa Ka Tha

Andaz Ho Baho Teri Awaz Pa Ka Tha
Dekh Nikl K Ghar Se To Jhunka Hawa K Tha

Utha Ajab Tazad Se Insaan K Khameer
Aadi Fana Ka Tha To Pujari Baqa Ka Tha

Is Rashta E Lateef K Israr Kaya Khulain
To Samnay Tha Our Taswoor Khuda Ka Tha

Tota To Kitnay Aynay Zano Pay Zad Pari
Atka Hoya Galay Main Jo Pathar Sada K Tha

Chup Chup K Royon Our Sare Anjuman Hasu
Muj Ko Ye Mashwara Mere Dard Ashna Ka Tha

Dil Raakh Ho Chuka To Chaman Our Barh Gayi
Ye Teri Yaad Thi K Amal E Qimiya Ka Tha

Is Husne Itfaaq Pay Lut Ker Bhi Shad Hun
Teri Raza Jo Thi Wo Taqaza Wafa Ka Tha

Heran Hun K Dar Se Kese Bacha  Nadeem
Wo Shakhas To Ghareeb O Ghayor Intha Ka Tha_____!!
_____________________________

Ager Baraj Girti Hai

Ager Baraj Girti Hai
Girti Rahay
Akhir Kaar Is Ko
Tamazat Ki Yalghar Main
Yun Pigalna Hai
Kuch Aysi Dar Fatangi Se Pigalna Ha
Jese Na Pigali
To Pathar Ki Ho Jaye Gi________!!
_____________________________

Tumharay Oje Tahzeeb O Saqafat Ka

Tumharay Oje Tahzeeb O Saqafat Ka
Zamana Mutraf Hai
Our Main Bhi Mutraf Hun
Sirf Ye Nanah Sa Shikwa
K Tum Bay Numa Kha Numano K Kalejo Main Utarti Barchayo Ko To Ajayeb Ghar Main
Fankarana Andaz E Tanasub Se Sjatay Ho
Magar Chalni Kalajay Bhol Jatay Ho_______!!
_____________________________

Yahan Se Abdiyat Ki Hadain Door Nahi

Yahan Se Abdiyat Ki Hadain Door Nahi
Baraf He Baraf Nazar Ati Hai Tahad Nazar
Soraj Hai Na Tara Hai Na Poo Hai Na Shafaq
Ki Roshni Hai Baraf     Ki      Tariki       Hai
Yahi Wo Abdiyat Hai K Jis Ki Dhun Main
Dil Ne Jazbat O Khayalat Ki Hidat Kho Di
Ab Waqat K Is Roza Yakh Basta Main
Banain Gay To Majawar He Banain Gay Hum Log___!!
_____________________________

Aayina Dekh K Aik Aur Tamasha Dekho

Aayina dekh ke, aik aur tamasha dekho
Apne paikar mein mera hussan-e-tamana dekho

Tum ko khush ayi na shayed meri palkon ki nami
Dil mein utray ho to aao mera sehraa dekho

Meri peyas�on, meri aaso�n, meri ankhon mein kabhi
Mere ban, mere gulistaan, mere daryaa dekho

Naam le ker mera, tum us ko pukaaro to sahi
Is bhare sheher mein jis shakhs ko tanha dekho

Main mohabbat ke safar mein nahin bhatkoon ga kabhi
Apne qadmon se chamakta hua rasta dekho

Main agar yaad na aaon, to chaman mein ja kar
Shaakh ke hath se girta hua pataa dekho_____!!

Ye Kaya K Ishq Karoon Paas-e-Aabroo Na Karoon

Ye Kia Ke Ishq Karoon Paas-e-Aabroo Na Karoon
Mein Tujh Ko Kho Ke, Khuda Ki Bhi Justuju Na Karoon

Mein Intezaar-e-Tuluu-e-Seher Mein Jeeta Hun
Mein Apna Chaak-e-Girebaan Kubhi Raffu Na Karoon

TU Sirf Jism Nahi Hai, Waraa-e-Jism Bhi Hai
Mein Tujh Ko Paa Ke Bhi Kiun Teri Aarzoo Na Karoon

Gayuur Hun Ke Ijaara Pasand Hun, Kia Hun
Mein Tujhe Apnay Khuda Ke Bhi Ruu-Baruu Na Karoon

Ye Mashwaray Tou Mere Tark-e-Shair Ke Hain Nadeem
Ke Jab Bhi Shair Kahoon, Dil Lahoo Lahoo Na Karoon_____!!
_____________________________

Dil Mein Hum Aik Hi Jazbey Ko Samoyein Kesey

Dil mein hum aik hi jazbe ko samoyen kesey
Ab tujhe paa ke yeh uljhan hai ke khoyen kesey

Zehen chalni jo kiya hai, To yeh majboori hai
Jitne kaante hain, woh talwon mein piroyen kesey

Hum ne maana ke bohat der hai hashar aney tak
Chaar janib teri aahat ho to soyen kesey

Kitni hasrat thi, Tujhe pass bitha ker rote
Ab yeh yeh mushkil hai, Tere samne royen kesey_____!!
_____________________________

Na Shaaor Mein Jawani Na Khiyal Mein Rawani

Na shaaor mein jawani, na khayal mein rawani
Koi sun ke kya karega meri dukh bhari kahani

Na zawaal nagehani, Na arooj jaawdani
Meri zindagi ka unwan, Fakt aik lafz �Faani�

Yeh shikast ka jahanum kahin phir bharak na uthey
Mere ishq ke khandar par, na karain woh gulfishani

Na gumaan yaar in per, Na jamal e yaar in mein
Tere kokab o kamar se na behel saki jawani

Mujhe aur zindagi de, ke hai dastaan adhoori
Meri maut se na hogi, mere gham ki tarjumani_____!!
_____________________________

Ik Sehmi Sehmi Si Aahat Hai Ik Mehka Mehka Saya Hai

Ik sehmi sehmi si aahat hai, ik mehka mehka saya hai
Ehsaas ki is tanhai mein yeh raat gaye kon aya hai

Aye shaam alam kuch tu hi bata, yeh dhang tujhe kyon bhaya hai
Woh meri khoj mein nikla tha aur tujh ko dhoond ke aya hai

Mein phool samajh ke chun loon ga is bheege se angaaron ko
Ankhon ki ibaadat ka mein ne bss aik yehi phal paya hai

Kuch roz se barpa chaar taraf hain shadi o gham ke hangamey
Sunte hain Chaman ko maali ne phoolon ka kafan pehnaya hai_____!!
_____________________________

Itna Dushwar Nahin Mot Ko Taalay Takhna

Itna dushwar nahin maut ko taley rakhna
Sar jo kat jaye to dastar sambhaaley rakhna

Chot khana, magar is tarah ke lodhey uthey
Zulmat gham isi tarey se ujaahely rakhna

Apne ehbaab ko seeney se lagaye phira
Aik khanjar bhi jaib mein daaley rakhna

Meri pehchan mere peer-e-hin zakhm se hai
Ab bhi aezaaz sahi shaal do shaaley rakhna

Dasht ehsaas ki hiddat bhi kayamat hai nadeem
Kuch zaroori tou nahin paon mein chaaley rakhna_____!!
_____________________________

Wo Koi Aur Na Tha Chand Khushk Pattey They

Wo koi aur na tha chand Khushk patte the
Shajar se tut k jo fasl-e-gul pe roye the

Abhi abhi tumhain socha to kuch na yad aya
Abhi abhi to ham ek-dusare se bichre the

tumhare bad chaman par jab ik nazar dali
Kali kali main Khizan k chirag jalate the

Tamam umr wafa ke gunahgar rahe
ye aur bat ki ham adami to ache the

Shab-e-Khamosh ko tanhai ne zaban de di
Pahar gunjte the dasht sansanate the

Wo ek bar mare jin ko tha hayat se pyar
Jo zindagi se gurezan the roz marte the

Naye Khayal ab ate hain dhal ke zahan main
Hamare dil main kabhi khet lahlahate the

Ye irtiqa ka chalan hai k har zamane main
Purane log naye admi se darte the

Nadeem jo bhi mulaqat thi adhuri thi
K ek chehre ke piche hazar chehre the____!!
_____________________________

Tujhe Izhaar E Mohabbat Say Agar Nafrat Thee

Tujhe izhar-e-Mohabbat Say Agar Nafrat Thee
Tu Nay HonTon Ko Laraznay Say To Roka Hota

Bay Niazi Say Magar Kaanpti Aawaz K Saath
Tu Nay Ghabra K Mera Naam Nah Poocha Hota

Terey Buss Main Thee Agar Mashal-e-jazbaat Ki Lau
Terey Rukhsaar Main Gulzaar Nah BhaRka Hota

Youn To Hwin Mujh Say Buss Aa-o-Hawa Ki Batein
Apnay tootey Huey Fiqron Ko To Parkha Hota

Youn He Bay Wajah He Thaknay Ki Zarurat Kiya Thee
Dam-e-Rukhsat Agar Kuch Yaad Nah Aaya Hota

Tera Ghammaz Bana jo tera Andaz-e-jurm
DiL Nah Sumbhla Tha To Qadmon Ko Sumbhala Hota

Apnay badley Meri Tasveer Nazar aa jati
Tu Nay Us Waqt Agar Ayena Dekha Hota

Hosla Tujh Main Nah Tha Mujh Say juda Honay Ka
Warna Kaajal Teri Aankhon Main Nah Phela Hota____!!

Read More..

Ahmad Nadeem Qasmi Shayari



















Ye Kia Ke Ishq Karoon Paas-e-Aabroo Na Karoon

Ye Kia Ke Ishq Karoon Paas-e-Aabroo Na Karoon
Mein Tujh Ko Kho Ke, Khuda Ki Bhi Justuju Na Karoon

Mein Intezaar-e-Tuluu-e-Seher Mein Jeeta Hun
Mein Apna Chaak-e-Girebaan Kubhi Raffu Na Karoon

TU Sirf Jism Nahi Hai, Waraa-e-Jism Bhi Hai
Mein Tujh Ko Paa Ke Bhi Kiun Teri Aarzoo Na Karoon ?

Gayuur Hun Ke Ijaara Pasand Hun, Kia Hun ?
Mein Tujhe Apnay Khuda Ke Bhi Ruu-Baruu Na Karoon

Ye Mashwaray Tou Mere Tark-e-Shair Ke Hain Nadeem
Ke Jab Bhi Shair Kahoon, Dil Lahoo Lahoo Na Karoon_____!!
____________________________

Zehanon Mein Khayaal Jal Rahey Hain

Zehano.n me.n Khayaal jal rahe hai.n
Socho.n ke alaav-se lage hai.n

Duniyaa ki Girift Mein Hain Saaye
Hum Apna Wajood Dhoondhatey Hain

Ab Bhookh Say Koi Kyaa Marey Ga
Mandi Mein Zamir Bik Rahey Hain

Maazi Mein To Sirf Dil Dukhatey They
Is Daur Mein Zehan Bhi Dukhey Hain

Sir Kaatatey They Kabhi Shehanshah
Ab Log Zubaan Kaatatey Hain

Hum Kaisey Churraayein Shab Sey Daaman
Din Nikala To Saaye Chal Parrey Hain

Laashon K Hujoom Mein Bhii Hans Dein
Ab Aisey Bhii Hausaley Kisey Hain____!!
____________________________

Zeest Aazaar Hui Jaati Hai

Zeest aazaar hu_ii jaatii hai
SaaNs talavaar hu_ii jaatii hai

Jism bekaar huaa jaataa hai
Ruuh bedaar hu_ii jaatii hai

Kaan se dil me.n utaratii nahii.n baat
Aur guftaar hu_ii jaatii hai

Dhal ke nikali hai haqiiqat jab se
Kuchh pur_asraar hu_ii jaatii hai

Ab to har zaKHm kii muu.Nh_band kalii
Lab-e-izahaar hu_ii jaatii hai

Phool hii phuul hai.n har simt 'Nadeem'
Raah dushvaar hu_ii jaatii hai_______!!
____________________________

Mujh Say Kafir Ko Terey Ishq Ney Youn Sharmaaya

Mujh se kaafir ko tere ishq ne yun sharmaya
Dil tujhe dekh ke dharrka to khudaa yaad aaya

Mere dil pe to hai ab tak tere gham ka saaya
Log kehte hain neya daur naye dukh laya

Mera meyaar-e-wafaa hi meri majboori hai
Rukh badal kar bhi tujhe apne muqaabil paya

Charagar aaj sitaron ki kasam kha ke bata
Kis ne insaan ko tabasum ke liye tarrpaya

Log hanstey hain to is soch main kho jata hon
Mauj-e-sailaab ne phir kis ka gharaunda dhaaya

Uss ke andar koi fankaar chupaa betha hai
Jaantey boojhtey jis shakhs ne dhoka khaya___!!
____________________________

Khuda Kere K Meri Arz E Pak Per Utray

Khuda Kere K Meri Arz E Pak Per Utray
Wo Nasal E Ghul Jisay Andesha E Zawal Na Ho

Yaha Jo Phol Khilay Wo Khila Rahay Bharson
Yaha Khizan Ko Bhi Guzarnay Ki Majal Na Ho

Yaha Jo Sabza Ugay Wo Hamaisha Sabaz Rahay
Our Aysa Sabz K Jis Ki Koi Misaal Na Ho

Ghani Ghtayen Yaha Aysi Barshain Barsayen
K Pathro Se Bhi Roydgi Mahal Na Ho

Khuda Keray K Waqar Is K Ghair Fani Ho
Our Is K Husn Ko Tashwish Mah O Saal Na Ho

Her Aik Fard Ho Tahzeeb O Fun Ka Ooj E Kamal
Koi Malool Na Ho Koi Khasta Haal Na Ho

Khuda Kere K Meri Arze Pak Per Utray
Wo Nasal E Ghul Jisay Andesha E Zawal Na Ho____!!
____________________________

Jab Tera Hukam Mila Tarke Muhabat Ker Di

Jab Tera Hukam Mila Tarke Muhabat Ker Di
Dil Magar Is Pay Wo Dharka K Qayamat Ker Di

Tuj Se Kis Tarah Main Izhare Tamna Kerta
Lafaz Socha To Mayni Ne Baghawat Ker Di

Main To Samja Tha K Lout Atay Hain Janay Walay
To Ne Ja Ker Tu Judai Meri Qismat Ker Di

Muj Ko Dushman K Irado Pay Bhi Payar Ata Hai
Teri Ulfat Ne Muhabat Meri Adat Ker Di

Kaya Tera Jism Tere Husn Ki Hidat Main Jala
Rakh Kis Ne Teri Sonay Ki C Rangat Ker Di____!!
____________________________

Hum Sayasat Se Muhabat K Chalan Mangtay Hain

Hum Sayasat Se Muhabat K Chalan Mangtay Hain
Shab E Sahra Se Magar Subh E Chaman Mangtay Hain

Wo Jo Ubra Bhi To Badal Main Lipat Ker Ubra
Isi Bechray Hoye Soraj Se Kirn Mangtay Hain

Kuch Nahi Mangtay Hum Log Bajiz Azne Kalam
Hum To Insaan Ka Baysakhta Pan Mantay Hain

Ayse Ghunchay Bhi Ghul Chain Ki Kaba Main Hain Aseer
Baat Karnay Ko He Jo Apna Dehaan Mangtay Hain

Hum Ko Matloob Hai Taqreem E Kado Gasoo
Aap Kehtay Hain K Hum Daro Rasan Mangtay Hain

Lamha Phar Ko To Lubha Jatay Hain Nayray Laykin
Hum To Ay Ahalay Watan Watan Darde Watan Mangtay Hain____!!
____________________________

Gul Tere Rang Chura Laye Hain Gulzaro Main

Gul Tere Rang Chura Laye Hain Gulzaro Main
Jhal Raha Ho Bhari Barsat Ki Bhocharo Main

Mujay Se Katra K Nikal Ja Magar Ay Jan E Jahan
Dil Ki Loh Dekh Raha Hun Tere Rakhsaro Main

Muj Ko Nafrat Se Nahi Payar Se Masloob Karo
Main Bhi Shamil Hum Muhabat K Gunahgaro Main

Mere Kese Main Tu Ik Soot Ki Inti Bhi Na Thi
Naam Likhwa Diya Yousuf K Kharidaro Main

Rut Badal Hai Tu Mayar Badal Jatay Hain
Bulbulain Kar Liye Phirti Hain Mankaro Main

Chal Ray Bazar E Hunar Se Koi Bahroop Nadeem
Ab Tu Fankaar Bhi Shamil Hain Ada Karo Main____!!
____________________________

Chandi Ne Rang E Shab Jab Zard Ker Dala

Chandi Ne Rang E Shab Jab Zard Ker Dala_____To Main
Aik Ayse Shahar Se Guzra___Jahan
Sirf Diwarain Numayan Thin
Chatain Madoom Thin
Our Galiyan Main Faqat Saye Rawa Thay
Jism Ghayeb Thay_____!!
____________________________

Buhat Shadid Tashind Main Mubtila Logo

Buhat Shadid Tashind Main Mubtila Logo
Yahin Qareeb Muhabt Ka Aik Qariya Hai

Yahan Duen Ne Manazar Chupa Rakhay Hain Magar
Ufaq Baaq Ka Waha Se Dikhai Deta Hai

Yahan To Apni Sada Kaan Main Nahi Parti
Waha Khuda Ka Tanafus Sunai Deta Hai_____!!

Best Poetry Of Ahmad Nadeem Qasmi




















Labon Pay Naram Tabassum Rachaa K Dhul Jaayein

Labon pe narm tabassum rachaa ke dhul jaayeN
Khudaa kare mere aaNsuu kisii ke kaam aayeN

Jo ibtadaa-e-safar mein diye bujhaa baiThe
Wo bad_nasiib kisii kaa suraaG kyaa paayeN

Talaash-e-husn kahaaN le chalii Khudaa jaane
Umang thii ki faqat zindagii ko apanaayeN

Bulaa rahe hain ufaq par jo zard-ruu Tiile
Kaho to ham bhii fasaane ke raaz ho jaayeN

Na kar Khudaa ke liye baar-baar zikr-e-bahisht
Hum aasmaaN kaa mukarrar fareb kyun khaayeN

Tamaam maikadaa sun_saan maigusaar udaas
Labon ko khol kar kuchh sochatii hain miinaayeN____!!
_________________________

Love Land

O sufferers from intense nervous tension
Listen, there's a love land nearby
Here, thick smoke has screened all scenes
From there, the sky of immortality may
be seen most clearly
Here you can't catch your own speech
Even Divine breath is audible over there____!!
_________________________

Love Of Man

I swear
I've spent my whole life
in worship
Just look at my account sheet
I've always loved Mankind_______!!
_________________________

Mein Tujh Ko Bhool Chuka

Mein tujh ko bhool chuka, Lekin aik umar ke baad
Tera kheyal kya tha ke chott ubhar aayi________!!
_________________________

Mein Bhi Fani Hun Tou Bhi Fani Hai

Har musarat se sargarani hai
Kya yehi aalim jawani hai
Aa tujhe aik raaz batlaaon
Mein bhi fani hon, Tu bhi fani hai____!!
_________________________

Mujhe Kal Mera Ek Sathi Mila

Mujhe kal meraa ek saathii milaa
Jis ne ye raaz kholaa
K ab jazbaa-o-shauq kii vahashaton ke zamaane gaye
Phir vo aahistaa-aahistaa chaaron taraf dekhataa
Mujh se kahane lagaa
Ab bisaat-e-muhabbat lapeTo
Jahaan se bhii mil jaayen daulat - sameTo
Garz kuchh to tahaziib siikho_______!!
_________________________

Pressure

On blooming
The flower said
I cannot control my beauty now
For I've gone beyond
My own reach____!!
_________________________

Shaam Ko Subh-E-Chaman Yaad Aai

Shaam ko subah-e-chaman yaad aai
Kis kii Khushbuu-e-badan yaad aai

Jab Khayaalon mein koi morr aayaa
Tere gesuu kii shikan yaad aai

Yaad aaye tere paikar ke Khutuut
Apanii kotaahii-e-fan yaad aai

ChaaNd jab duur ufaq par Duubaa
Tere lahaje kii thakan yaad aai

Din shuaao.n se ulajhate guzaraa
Raat aai to kiran yaad aai____!!
_________________________

Tujhe Kho Kar Bhii Tujhey Paaon Jahaan Tak Dekhuun

Tujhe Kho kar bhii tujhe paauuN jahaaN tak dekhuuN
Husn-e-yazdaaN se tujhe husn-e-butaaN tak dekhuuN

Tuune yuuN dekhaa hai jaise kabhii dekhaa hii na thaa
MaiN to dil meN tere qadmoN ke nishaaN tak dekhuuN

Sirf is shauq meN puuchii haiN hazaaroN baateN
MaiN teraa husn, tere husn-e-bayaaN tak dekhuuN

Waqt ne zehn meN dhundhlaa diye tere khadd-o-Khaal
YouN to maiN TuuTte taaroN kaa dhuaaN tak dekhuuN

Dil gayaa thaa to ye aaNkhen bhii ko'ii le jaataa
Main faqat ek hii tasviir kahaan tak dekhuuN

Ek haqiiqat sahii firdaus meN huuroN kaa vajuud
Husn-e-insaan se nipat luuN to vahaan tak dekhuuN____!!
_________________________

Twists And Turns Of Body And Soul

How transparant is your body
As you passed by me yesterday
I saw your face
Showing lake-like peace
But, when my glance fell
Upon your heart
I saw a hellish turmoile
Seemingly resulting from
Some terrible earthquake_______!!
_________________________

Wo Koi Aur Na Thaa Chand Khushk Pattey Thet

Wo ko_ii aur na thaa chand Khushk patte the
Shajar se TuuT ke jo fasl-e-gul pe roye the

Abhii abhii tumhe.n sochaa to kuchh na yaad aayaa
Abhii abhii to ham ek-duusare se bichha.De the

Tumhaare baad chaman par jab ik nazar Daalii
Kalii kalii me.n Khizaa.N ke chiraaG jalate the

Tamaam umr vafaa ke gunaah_gaar rahe
Ye aur baat ki ham aadamii to achchhe the

Shab-e-Khaamosh ko tanhaa_ii ne zabaa.N de dii
Pahaa.D guu.Njate the dasht san_sanaate the

Wo ek baar mare jin ko thaa hayaat se pyaar
Jo zindagii se gurezaa.N the roz marate the

Naye Khayaal ab aate hai.n Dhal ke zahan me.n
Hamaare dil me.n kabhii khet lah_lahaate the

Ye iratiqaa kaa chalan hai ki har zamaane me.n
Puraane log naye aadamii se Darate the

'Nadeem' jo bhii mulaaqaat thii adhuurii thii
Ki ek chehare ke piichhe hazaar chehare the___!!

Read More..

Ahmad Nadeem Qasmi Poetry
















Ab Tak To Noor-O-Nikhat-O-Rang-O-Sada Kahun

Ab tak to nuur-o-niKhat-o-rang-o-sadaa kahuu.N
Main tujh ko chhuu sakuu.N to Khudaa jaane kyaa kahuu.N

Lafzo.n se un ko pyaar hai mafhuum se mujhe
Wo gul kahe.n jise mai.n teraa naqsh-e-paa kahuu.N

Ab justajuu hai terii jafaa ke javaaz kii
Jii chaahataa hai tujh ko vafaa aashnaa kahuu.N

Sirf is ke liye ke ishq isii kaa zahuur hai
Mai.n tere husn ko bhii sabuut-e-vafaa kahuu.N

Tuu chal diyaa to kitane haqaa_iq badal gaye
Najm-e-sahar ko marqad-e-shab kaa diyaa karuu.N

Kyaa jabr hai ke but ko bhii kahanaa pa.De Khudaa
Wo hai Khudaa to mere Khudaa tujh ko kyaa kahuu.N

Jab mere muu.Nh me.n merii zubaa.N hai to kyuu.N na mai.n
Jo kuchh kahuu.N yaqii.n se kahuu.N barmalaa kahuu.N

Kayaa jaane kis safar pe ravaa.N huu.N azal se mai.n
Har intahaa ko ek na_ii ibtidaa kahuu.N

Ho kyuu.N na mujh ko apane mazaaq-e-suKhan pe naaz
Gaalib ko kaa_inaat-e-suKhan kaa Khudaa kahuu.N____!!
____________________________

Kis Ko Qaatil Main Kahun Kis Ko Masihaa Samajhun

Kis ko qaatil mai.n kahuu.N kis ko masiihaa samajhuu.N
Sab yahaa.N dost hii baiThe hai.n kise kyaa samajhuu.N

Wo bhii kyaa din the kii har vaham yaqii.n hotaa thaa
Ab haqiiqat nazar aaye to use kyaa samajhuu.N

Dil jo TuuTaa to ka_ii haath duaa ko uThe
Aise maahaul me.n ab kis ko paraayaa samajhuu.N

Zulm ye hai ke hai yaqtaa terii begaanaaravii
Lutf ye hai ke mai.n ab tak tujhe apanaa samajhuu.N___!!
____________________________

Ab To Shahron Say Khabar Aati Hai Devaanon Ki

Ab to shahroN se Khabar aatii hai diivaanoN kii
Ko'ii pehchaan hii baaqii nahiiN viiraanoN kii

Subh hote hii nikal aate haiN baazaar men log
GaThriyaaN sar pe uthaaye hu'e iimaanoN kii

Apnii poshaak se hoshiyaar ke Khuddaam-e-qadiim
DhajjiyaaN maaNgte haiN apne gariibaanoN kii

San'ateN phailtii jaatii haiN magar iske saath
SarhadeN tuuTtii jaatii haiN gulistaanoN kii

Unko kyaa fikr ke maiN paar lagaa ke Duubaa
Bahes karte rahe saahil pe jo tuufaanoN kii

Maqbare bante haiN zindoN ke makaanoN se baland
Kis qadar auj pe takriim hai insaanoN kii

Terii rahmat to musallam hai magar ye to bataa
Kaun bijlii ko Khabar detaa hai kaashaanoN kii

Abhii takmiil ko pahunchaa nahiiN zehnoN kaa gudaaz
Abhii duniyaa ko zaruurat hai Ghazal-KhvaanoN kii____!!
____________________________

Andheri Raat Ko Ye Mojaza Gikhaen Gey Hum

Andheri raat ko ye mojaza dikhaen ge hum
Chirag agar na mila, apna dil jalaen ge hum

Hamari koh kani ke hein mukhtalif mayar
Pahar kaat ke raste naye banaen ge hum

Jo dil dukha hai to ye azm bhi mila hai humen
Tamam umr kisi ka na dil dukhaen ge hum

Bohat nadhal hein sasta to len ge pal do pal
Ulajh gaya kahen daman to kyon churaen ge hum

Agar hai maut mein kuch lutf, bas to itna hai
K iss ke baad Khuda ka surag paen ge hum

Humen to qbr bhi tanha na kar sake ge Nadeem
K har taraf se zameen ko qareeb paen ge hum____!!
____________________________

Dream

When the night turned pale
in the moonlight
I came across a city
where walls were conspicuous
but roofless

Only phantoms moved in the lanes
Bodiless phantoms!
(Or shadows without bodies)
____________________________

Itni Khushbu Hai K Dam Ghut'ta Hai

Itni Khushbu Hai K Dam Ghut'ta Hai
Ab k Yuon Toot K Aayii Hai Bahaar

Aag Jalti Hai K Khiltey Hain Chaman
Rang Shoalaa Hai To Nikhat Hai Sharaar

RavishoN Par Hai Qayaamat Ka Nikhaar
Jaisey Tapta Ho Javaanii Kaa Badan

Aablaa Ban K Tapaktii Hai Kali
Knopalein Phoot K Lau Detii HaiN
Ab K Gulshan Mein Saba Yuon Bhii Chali____!!
 ____________________________

Je Chaahtaa Hai Falak Pey Jaauun

Je chaahtaa hai falak pe jaauuN
Suuraj ko Ghuruub se bachaauuN

Bas meraa chale jo gardishoN par
Din ko bhii na chaaNd ko bujhaauuN

MaiN chhoR ke siidhe raastoN ko
BhaTkii hu'ii nekiyaaN kamaauuN

MaiN shab ke musaafiroN kii Khaatir
Mash'al na mile to ghar jalaauuN

Ash'aar haiN mere istiyaare
Aao tumheN aaiine dikhaauuN

YouN baNt ke bikhar ke rah gayaa huuN
Har shaKhs meN apnaa aks paauuN

Aavaaz jo duuN kisii ke dar par
Andar se bhii Khud nikal ke aauuN

Ay chaaraa-giraan-e-asr-e-haazir
Faulaad kaa dil kahaaN se laauuN

Har zabr pe sabr kar rahaa huuN
Is tarah kahiiN ujaR na jaauuN

Ghar Duub rahe haiN tiirgii meN
QabroN pe magar diye jalaauuN

Ronaa bhii tarz-e-guftuguu hai
AaNkheN jo rukeN to lab hilaauuN

Khud to "Nadeem" aazmaayaa
Ab mar ke Khudaa ko aazmaauuN____!!
____________________________

Lab E Khaamosh Say Afshaa Ho Ga

Lab-e Khaamosh se afshaa hogaa
Raaz har rang me.n rusvaa hogaa

Dil ke saharaa me.n chalii sard havaa
Abr gul_zaar pe barasaa hogaa

Tum nahii.n the to sar-e-baam-e-Khayaal
Yaad kaa ko_ii sitaaraa hogaa

Kis tavaqqo pe kisii ko dekhe.n
Koi tum se bhii hasii.n kyaa hogaa

Ziinat-e-halqaa-e-aaGosh bano
Duur baiThoge to charchaa hogaa

Zulmat-e-shab me.n bhii sharmaate ho
Dard chamakegaa to phir kyaa hogaa

Jis bhii fan_kaar kaa shaahakaar ho tum
Us ne sadiyo.n tumhe.n sochaa hogaa

Kis qadar karb se chaTakii hai kalii
ShaaKh se gul ko_ii TuuTaa hogaa

Umar bhar roye faqat is dhun me.n
Raat biitii to ujaalaa hogaa

Saarii duniyaa hame.n pahachaanatii hai
Koi ham-saa bhii na tanhaa hogaa____!!